Doston Agar aap logon nay Mobile ki Care karnay us ko long time k liya use karnay or Uski Battery timing theek rakhnay ka soch liya hay to main aap ko kuch tips daita hon. Insha ALLAH aap ka Mobile Better condition main rahay ga.
1: Mobile ki Casing ki Hifazat k liya
:A... Sab say behtar kaam to yahi hai k aap Mobile ki Original Casing ko utar kar rakh dain is say aap ko Faida yeh hoga k aap jab Mobile ko Sale karnay jatay hain to aap ko Payment achi mil jati hay. agar nahi to phir Aap 1 Acha or Nafees sa Mobile Cover leh Lijiya. Mobile bina Cover k Pocket main para rahay to Is ki screen per or Casing per Kharashain aa jati hain.
B... Daily nahi to kam say kam Week main 1 baar zaroor apni casing ko saaf karain. Maine
Aksar logon ko dekha hay daily hi Mobile Casing ko Saaf kartay hain.
2: Mobile Ki Screen ki hifazat k liya:
Mobile per Acha Wala Screen saver laga lain. Is say aap ki Mobile LCD Screen Kharasho say Bach jaye ga. Main to har 2 week k baad Screen Saver change kar laita hon.
3: Apnay Mobile Board ki Hifazat k liya..
A: Haath Geelay hon to pehlay Haath ko khushk kar liya jaye.
B: Summer season shuru ho gaya hay. Paseena aata hay so be careful.
C: Raat ko Mobile Apnay Paas rakh kar na soya jaye. Becoz neend main aksar pata nahi chalta jis ki wajah say Mobile hamaray Jism k neechay dab jata hay. is say b Mobile main problem paida ho sakti hay. Waisay b yeh 1 Electronic Cheez hay so is ka bharosa b nahi hota k kab Sath chor jaye. Mostly mobile main problems Raat ko Mobile Hamaray Jism k neechay dab janay ki wajah say paida ho jati hain. Yeh maine woh wajah batai hain Jin per hum dhiyan nahi daitay.
D: Jab B Mobile main sim change karni ho ya phir Battery nikalni ho ya phir Memory card Nikalna ho to Pehlay apnay Mobile ko Off kar lain phir aap Battery nikalain apnay Mobile say. warna aap k Board main problem ho sakti hay.
Jab Nahanay k liya jayein to Mobile ko sath leh kar mat jayein. Geeli jagah per na rakhain.
Yeh Choti choti si baatain hain Jis ki wajah say Mobile ka kabhi speaker kabhi ringer kabhi keypad buttons kabhi mic or kabhi or koi b masla ban jata hay. cheez koi b ho us k use karnay ka tareeqa hota hay. Care nahi karaingay to woh cheez jaldi farig ho jati hay. Yeh Hain to Choti Choti Batain lakin aksar nuqsan b bohat daiti hain.
4: Apni Battery Timing ki Hifazat k liya..
Agar Apnay Mobile ki battery timing theek rakhna chahtay hain to aap Hamaisha Jab Battery Low ka option aaye us time Battery ko charging per lagayein. Or jab Full ka indicator day to aap Charger Unpluge kar dain. Aksar logon ko dekha hay k sari sari raat Battery Charging per lagi rehti hay. Ya phir yeh kartay hain k 2 cell kam hotay hain saath hi mobile charging per laga daitay hain. Jis ki wajah say battery phool jati hay or Timing kharab ho jati hay.
Isi liya Jab tak Low ka Indicator na day Mobile ko charging per na lagaiya. or Jab Full ka Indicator day to Charger Unpluge kar dain. Is say aap ki Battery Timing theek rahay gi.
Battery Charging Full karnay k liya Always Original Charger use karain lakin yeh khayal rakhain k woh aap k Mobile ki Battery ko 1:30 say 2 hour main full karnay wala ho. Aisay charger b hotay hain jo 40 say 45 minute main charging full kar daitay hain. Lakin is say aap k mobile ki battery timing kharab ho jati hay.
Yeh choti choti si batain hain jin per hum dhiyan nahi daitay.
Dosto Umeed karta hon aap sab ko yeh Thread Bohat Pasand aaye ga. Or koi dost b koi tips daina chahtay hay to Izafa kar dain. Isi main hum sab ka faida hay. Mujhay apni Duaon main yaad Rakhiya ga. aap ki Duaon ka Talabgaar. ALLAH HAFIZ
0 comments:
Post a Comment